Thursday, 25 September 2014

Kaisa Nagar Tha Jo Teray Haathon Ujarr Gya

Main Jaan Ba Lab Tha Phir Bhi Asoolon Pey Arr Gya
Bujhta Hua Chiraagh Hawaaon Sey Lar Gya

Khaalii Parey Hoye Hain Prindon Key Ghonsley
Aisi Hawa Challii K Har Eik Pairr Jharr Gya

Aatey Hain Log Apney Khad O Khaal Dhoondney
Yeh Kon Merii Aankh Mein Aaiyenay Jarr Gya

Kis Ka Saath Dey Koii Mailey Kii Bheer Mein
Phir Yon Hua K Wo Bhii Achanak Bichar Gya

Main Ney Qadm Barhaaye Jo Sehra Kii Dhoop Mein
Ghabra Key Mera Saya Meray Paaon Parr Gya

Us Aaiyenay Key Aks Hii Tairrey They Sab Key Sab
Mujh Ko Yeh Weham Tha Mera Chehra Bigar Gya

“Mohsin” Dil E Ghareeb Kii Veraniyaan To Dekh
Kaisa Nagar Tha Jo Teray Haathon Ujarr Gya

No comments:

Post a Comment