Friday 5 September 2014

Fuzool hai un sey yeh tamanna key merey gham ki dawa karein gay

Fuzool hai un sey yeh tamanna key merey gham ki dawa karein gay
Tabahi-e-dil pey jo tuley hon woh dil ki ta’ameer kiya karein gay

Qadeem aik rasm-e-dosti hai magr hai ab bhi wohi ta’alluq
Sitm sahey hain, sitm sahein gey, wafa key badley jafa karein gay

Na zindagi ko sukoon mila hai, na zindagi ney sukoon diya hai
Kabhi jo puhanchey us aastaan tak tu zindagi ka gila karein gay

Shareek-e-bazm-e-hayaat tum they tu aarzu’oon mein roshni thee
Tumhari qurbat sey duur reh kar sukoon mila tu kiya karein gay

Kisi ko maaloom tak na hoga key hum ko thi aap sey muhabbat
Kisi ko mahsoos tak na hoga kuch is tarah hum wafa karein gay

Mata-e-qulb-o-nazr luta kar uthaye mahroomiyun ke sadmay
Gham-e-zamana teri hikaayat baray mazay sey kaha karein gay

Khushi ki halki si aik kiran bhi dil-o-nazr mein nahi hai zakir
Udaasiyun per hi aasra hai kiya bhi shikwa tu kiya karein gay

No comments:

Post a Comment