Monday, 15 September 2014

haakim-e-shehar bata

haakim-e-shehar bata !
waqt ke shikanjoN ney

khuwahishoN ke phuloN ko
noch noch torra hey…….


kiya yeh zulm thora hey?

dard ke jazeeroN ney
Aarzoo ke jeewan ko
maqbaroN mein dala hey


zulmatoN ke dairay hain…..
log sab lutairay hain
maut rooth baithi hey
zaat raiza raiza hey


zindagi tere hathoN
paaimaal hey janaaN……
ik sawaaal hey janaaN…
kaisay maan looN jeewan?


saans hi nahin koi
karb karb lamhay yeh
baar baar dastay hain……
log hum pe hanstay hain


taar taar Aanchal hey
dard dard jeewan hey
shabnami si palkaiN hain
Qurb hey na doori hey ….


zindagi adhooori hey
ab yaqeeen aaya hey ….
Maut bhi zaroori hey…!

No comments:

Post a Comment