Hairaton K silsilay Soz-e-Nihaan tak aa gae
hum nazar tak chaahtay thay tum tu jaan tak aa gae
Un ki palkon pe sitaray Apne honton par hansi
Qissa-e-Gham Kehte Kehte hum kahan tak aa gae
Apni Apni Justuju hai apna apna shauq hai
Tum hansi tak bhi na puhunche ham fugaan tak aa gae
Zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na thaa
aap kis ki aarzoo mein gulistaan tak aa gae
Rafta Rafta rang laya jazbaa-e-Khaamoshii-e-ishq
woh taghaaful karte karte imtehaan tak aa gae
Khud tumhein chaak-e-girebaan ka shaoor aa jae ga
tum wahan tak aa jaao hum jahan tak aa gae
No comments:
Post a Comment