Thursday, 25 September 2014

woh boli dil ko koi bay-yaqeeni hai muhabaat maiN

woh boli: dil ko koi bay-yaqeeni hai muhabaat maiN
main bola: theek hai par ishq to imaan hota hai

woh boli: arzooain dil kay andar bain karti hain
main bola: theek hai mujh ko sunaye dati rahti hain

woh boli: dard rah kar dard barh jata hai senay main
main bola: qurbatain bhi hijar kay khadshay barhaati hain

woh boli: zindagi main tu nahi tu zindagi kub hai
main bola: har tarf ek la-obali mout hawi hai

woh boli: dil main koi besabab sa khoof rahta hai
main bola: ishq to be-baaq logo ka hi shewa hai

muhabat zehan ka ek khas alam hai: kaha is nay
kaha main nay: muhabat roh ki dahleez hoti hai

muhbat be-sabab trpaye rakhti hai: kaha is nay
kha main nay: ye asbaat kya shah hain muhabat maiN

muhabat main ghamoo ki is qadar yalghaar kyu! –boli
main bola: tum kisi din ye to apnay ap say pocho

woh mujh say pochti hai: raat ki bechaniya kya haiN
main kahta ho: wohi jo durioon kay dil main hoti hain

woh mujh say pochti hai: khoof ka doraniya kya hai
main kahta ho: jo dil aur gham ka hota hai musebat main

woh mujh say pochti hai raat itnii bezubaan kyu hai
main kahta ho: zubaan to dard ki shidat ki hoi hai

main kahta ho tumhay dariya kay kinaray kasay lagtay haiN
woh kahti hai: tumhay bichray sahary kasay lagtay hain

woh boli: raat say kya baat kartay ho akely maiN
main bola: dard ki: kuch kuch muhabat ki: judaye ki

woh boli: roh kay andar kahi par agg jalti hai
main bola: haan dhuwa main nay abhi dekha hai nighaoon main

woh boli: saans par bhi dard kay koray barastay hain
main bola: haan laho par neel to mane bhi dekhay hain

woh boli: ab to zulfoon main bhi chandi si sarak aye
main bola: roh tak main bhi dararaiN pargaye hongi

woh kahti hai: mujhay mayoosiya rasta nahi datien
main kahta ho ye mayoosiyaN taqat bhi hoti hain

woh kahti hai bohat tanha ho main is pori dunia maiN
main kahta ho kay ye ehsaas to hoga khuda ko bhi

woh kahti hai kay ab awargi say kuch nahi hasil
mujhy herat hai ye sub kuch woh mujh badal say kahti hai

woh kahti hai: mujhy zindagi say ek shikqa hai
hamesha sailooN ko mout kay saye main rakhti hai

woh kahti hai: meri yadoon say kyu kar door rahty ho
main kahta ho: teri parchaiya bus main nahi hotien

sitaray dekhnay atay mujhy teri muhabat main
woh kahti hai: sitaray aur sapnay jhoot hotay haiN

woh boli: dard nay asaab ko murda bana dala
main bola: ishq ki be-chaniyo say zindagi karloo

woh kahti hai: agar bechaniya-n besood hojaye
main kahta ho: fana filnaar hast-0-bood hojaai-n

woh kahti hain: balain jub bhi mera naam lati hain
main kahta ho: tujhay meri duain tham lati hain

woh mujh say pochti hai: shaam kya weraan hoti hai
main kahta ho kay ye to hijar ki pehchaan hoti hai

woh mujh say pochti hai: ratjagoo ka rung kasa hai
main kahta ho kay jasa jagnay walay ki ankhao ka

woh mujh say pochti hai: pyar ka matlab bataoo gay
main kahta ho kay har ek baat ka matlab nahi hota

woh boli: rastay main dard kay kitnay samandar hain
main bola: akhari jo zabt say bahir nikal jaye

muhbat main safar kitna zaroori hai: wh kahti hai
main bola: muhbat main kahi tehra nahi jata

woh kahti hai: koi rota hai galio kay andheroo maiN
main kahta ho: judaye phir rahi hogi musebat main

No comments:

Post a Comment