hijr aur doobtay sooraj kii qasam
shaam kay paar koii rehta hai
jis kii yaadon say bandhii rehtii hai dharkan dil kii
aur usay dekh kay seenay mein yahii lagta hai
jaisay veeranay mein bemaar koii rehta hai
shaam kay paar koii rehta hai
jis kii yaadon say bandhii rehtii hai dharkan dil kii
aur usay dekh kay seenay mein yahii lagta hai
jaisay veeranay mein bemaar koii rehta hai
hum bohet chup bhi nahien reh saktay
door tak dhaltay hoye saaye uraatay hain mazaaq
aur kehtay hain k aey zard udaasii walay
tum to khamosh shajar ho koii
aur jhonkay say bhi darr jatay ho
subah hotii hai to umeed say jee uthtay ho
shaam hotii hai to marr jatay ho
door tak dhaltay hoye saaye uraatay hain mazaaq
aur kehtay hain k aey zard udaasii walay
tum to khamosh shajar ho koii
aur jhonkay say bhi darr jatay ho
subah hotii hai to umeed say jee uthtay ho
shaam hotii hai to marr jatay ho
hijr aur doobtay sooraj kii qasam
door tak dhaltay hoye saaye uratay hain mazaaq
shaam kay paar koii rehta hai
door tak dhaltay hoye saaye uratay hain mazaaq
shaam kay paar koii rehta hai
No comments:
Post a Comment