Thursday, 11 September 2014

Hyaat Key Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain

Hyaat Key Ujrey Dyaar Mein Kuch
Taarekiyaan Abhi Aur Hain 

Naseeb Key Bigrey Nisaab Mein
Kuch Talkhiyaan Abhi Aur Hain

Main Ney Phir Sey Tinkey Jorr Kar
Socha K Banaaon Aik Ghar

Mujhey Tabhi Falaq Sey Nawa Milli
Key Wahaan Badliyaan Abhi Aur Hain

Yahi Dekh Ab K Teray Khwaab Sab
Kyon Dhal Gye Hain Saraab Mein

Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar K
Teray Imtehaan Abhi Aur Hain

Wo Daagh Yaadon Key Bad Numaan
Too Ney Mitaaye To Hain Par Sab Nahi

Maseeha E Waqt Meray Zehan Par Aisay
Kuch Nishaan Abhi Aur Hain

Aey Toofan E Hawa Zara Phir Sey Aa
In Bastiyon Mein Har Us Jaga

Jahaan Bach Gye Hain Chand Ghareeb
Aisey Kuch Makaan Abhi Aur Hain

Main Chaahon Agar Bhi To Kis
Trah Supurd E Ajal Ho Jaaon Abhi

K Is Soukhta Jaan Key Hisaab Mein
Qarz E Dostaan Abhi Aur Hain

Abhi Khwaahishon Mein Lagey Raho
Zara Saans Lainey Ko Ruko Nahii

Mujhey Hai Yaqeen Yahien Aass Pass
Naye Aasmaan Abhi Aur Hain

No comments:

Post a Comment