Wednesday 3 September 2014

is si gham ki aut mila tha wo

issi gham ki aut mila tha wo, 
mujhay pehli baar yahin kahin
kisi chashm-e-tar main talash kar 
usay mere yaar yahin kahin
ye jo simt-e-ishq main jheel hai, 
ye jo simt-e-gham main pahar hain
meri raah dekh raha na ho mera shahsawaar yahin kahin
ye tah-e-faseel saraab sa kabhi sail-e-bekh-o-tanab tha
meri jaan khayaam pazir thay tere jaan nisaar yahin kahin

No comments:

Post a Comment