Saturday, 20 September 2014

Iss shehar tazabzub main hum baat karain kaisay

Mera tamam Fann , Meri Tamam Kaavish , Mera Riyaaz 
Aik Natamam Geet kay misray hain jin kay Beech 
Maiynay Ka Rabt hai Na kisi Kaafiya Ka Mail
Anjaam Jis ka Taye na Hua hoo Aik aisa Khel hai


Meri Maata Bas yahi Jadoo hai Ishq Ka
Seeka hai jisko main nay bari mushkiloon kay saath
Lekin ye sehar -e-Ishq ka tohfa ajeeb hai
Khulta nahin hai kuch haqeeqat main kiya hai ye


Taqdeer ki Ata hai ya koi saza hai ye
Kis sey kahain aye jaan! kay ye Qissa ajeeb hai
Kehnay ko yoon tu ishq ka jadoo hai meray paas 
Seenay sey aik pahaar sa hathta nahin hai ye


Lekin Asar k baab main halka hai Iss Qadar 
Tujh per Agar chaloon tu chalta nahin hai ye
Iss shehar tazabzub main hum baat karain kaisay
Din kaat kay hairaan hain Ab raat karain Kaisay!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment