Saturday, 20 September 2014

jo faraq say ho ashna usay arzo-e-wasal kya

ye jamal kya, ye jalal kya, ye arooj kya, ye zawaall kya
woh jo pair jur say ukhar gya usay mousamoo’n ka malal kya

woh jo lamha lamha bikhar gya, woh apni hud say guzar gya
usay fikar sham-o-sehar kya, usay ranjish mah-o-saal kya

huwa reza reza jo dil tera isay jor jor kay mut dekha
woh jo apnay husn mai must hai usay a’ainay ka khyal kya

wohi hijar raat ki baat hai wohi chand taroo’n ka sath hai
jo faraq say ho ashna usay arzo-e-wasal kya

kisi aur say karay kyu gila hamay apnay ap say dukh mila
woh jo dard-e-dil say ho ashna usay dunia bhar ka wabal kya

wohi gard gard gubar hai wohi charoo’n auurh fashar hai
woh jo khud ko bhi nahi janta woh ho mera waqif-e-haal kya

isay sa’ad kasa bataye hum isay kis say jakay milaye hum
woh to khud sarapa misal hai ye gulaab kya ye ghazal kya

No comments:

Post a Comment