kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye
vo tumhareY Gam ke chiraaG haiN kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
maiN Khayaal-o-Khvaab ki mahafileN na baqadr-e-shauq saja saka
tumhari ik nazar ke saath he mere sab iraade badal gaye
jo fanaa huye Gam-e-ishq meiN unheN zindagi kaa na Gam huaa
jo na apni aag meiN jal sake vo parai aag meiN jal gaye
yaa unheN bhi meri tarah junuN to phir un meiN mujh meiN ye farq kyaa
maiN giraft-e-Gam se na bach sakaa vo huduud-e-Gam se nikal gaye
No comments:
Post a Comment