Monday, 15 September 2014

kabhi mom ban k pighal gia

kabhi mom ban k pighal gia kabhi girte girte sanbhal gia
woh ban k lamha gurez ka mery pass se nikal gia

ussy rokte bhe tu kistarha k woh shakhs itna ajeeb tha
kabhi tarap utha meri aah se kabhi askh se na pighal saka

sar-e-rah mila woh agar kabhi tu nazar chura k guzar gia
wo utar gia meri aankh se mery dil se kioN na utar saka

woh chala gia jahaN choR k maiN wahaN se phir na palat saka
woh sanbhal gia thaa Faraz magar maiN bikhar k phir na simat saka

No comments:

Post a Comment