Wednesday 3 September 2014

kyo tu acha lagta hai

kyo tu acha lagta hai
waqt mila to sochenge
tujh mein kya kya dekha hai
waqt mila to sochenge
saara shahar shanaasai ka daawedaar to hai lekin
kaun hamara apna hai
waqt mila to sochenge
humne usko likha tha
kuch milne ki tadbeer karo
usne likhkar bheja hai
waqt mila to sochenge
mausam, khusboo, baad-e-sabaa, chand, shafaq aur taaron mein
kaun tumaare jaisa hai
waqt mila to sochenge
ya to apne dil ki maano ya fir dunia walon ki
mashwara uska acha hai
waqt mila to sochenge
kyon tu acha lagta hai
waqt mila to sochenge

No comments:

Post a Comment