Friday 5 September 2014

Meray JunooN kaa CharaaGH JaL kar

Meray JunooN kaa CharaaGH JaL kar ,
mujhay jala kar Ujarr geya hay
Fasaad-e-Jaan kii jo Zad mein Aaya,
wuh Dil tou Mujh say BicheR geya hay
Wuh Itnaa daana, wuh itna Zeerak,
keh baaT Sunenay say pehlay jaanay
Wuh Shab- Gazeedah, Udaas Raahi,
khud apnay Dil say hi darr geya hay
Kaii ZamaaNon mein Reh kay Ussnay
kaii Zamaanay kay Raaz jaanay
Abhi TalaK tou tha saath meray,
abhii Najaanay kidher geya hay
Qareeb Aa kar jo kucH na samjha,
tou DooR jaa kar kaha tha ussnay
Teray badan ki Udaas baaton say
Ik badan aur Ujar geya hay
BahaaR Rutt mein, KhazaaN gazeedah
GhulaaB khiL kar na Mehak paae
ChamaN kii Aankhon mein Be-bassi hai
keh Baagh sara Ujarr geya hay
Wuh kachii Mehandii sajaa kay HaathoN mein,
Maang jeewan say bharr rahi hay
Tu jis SaFaR peh hay saath usskay,
wuh Rastaa aagay say muR geya hay
Mein apnay baaray mein kya bataaoun
keh kitnay saalon mein ghut geya huuN
Magar koi yeh bataa raha hay,
keh DiL humaraa Uder geya hay
Wuh Naam jiss ka kabhii Thaa ~KhaliD~
Azaab-e-UlfaT mein Mubtalah hay
BanoN mein phirta hay maara maara,
Musaafton mein bikher geya hay

No comments:

Post a Comment