Thursday 4 September 2014

Meri Chashm-e-Khushk Mein Rat-jagey Ka Diya Na Ban Kay Jala Karo

Meri Chashm-e-Khushk Mein 
Rat-jagey Ka Diya Na Ban Kay Jala Karo

Issay Aansu-on Say Nawaaz Do 
Maira Zakhm Zakhm Hara Karo

Jo Ayaan Khuloos Ki Leher Hai Ye 
Gharaz Fareib Ka Zehar Hai

Ye Naye Mizaaj Ka Shehar Hai 
Zara Faasley Say Mila Karo

Chalo Jo Tumhara Usool Hai Dil-o-Jaan 
Say Hum Ko Qubool Hai

Ye Jafa Tumhari Sarisht Hai To 
Jafaaon Pey Bhi Jafa Karo

Main Kisi Ka Aks-e-Jamaal Hoon, 
Main Wujood Hoon Ke Khayal Hoon

Mujhey Apni Koi Khabar Miley 
Mujhey Aainey Say Reha Karo

Na Ye Zo’m Hai Na Futoor Hai Ye 
Chalan Hi Maira Guroor Hai

Mujhey Kya Jhukaao Gey Meh-vasho 
Jo Haseen Ho To Hua Karo

Ye Mairi Shanaakht Ka Lafz Hai 
Magar Ajnabi Ki Si Tarz Hai

Issey Martaba Miley Naam Ka 
Issey Inn Labon Say Adaa Karo

Jo Nahin Woh Waqt To Kya Hua 
Kisi Bhi Firaun Ka Khof Kya

Kay Tumhaarey Haath Qalam To 
Hai So Issi Say Kaar-e-asa Karo.. !

No comments:

Post a Comment