Thursday 4 September 2014

Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala

Mujhe ek manzil-e-khaas ka 
na pata chala, yeh bura hua

meri justaju, meri aarzoo, 
hui raaigaN, yeh bura hua

meri zest maut se kam nahi,
 mera gham bhi ab mera gham nahi

teri dastaaN meiN sama gai 
meri dastaaN, yeh bura hua

mujhe apne naghmoN se hai gila, 
mera raaz raaz  na reh  saka

woh jale chiraaghoN ki tarha, 
woh utha dhuwaan, yeh bura hua

tere intezaar meiN baith kar, 
mujhe zindagi to mili magar

mera saath choD ke chal diya, 
mera karwaaaN, yeh bura hua

mujhe yaad thi yeh na thi khabar, 
mere gham meiN hai bada asar

meri ek aah se jal gaye, 
kai aashiyaaN, yeh bura hua

No comments:

Post a Comment