Saturday, 20 September 2014

muhabbat roag hai janaan

muhabbat roag hai janaa’n
bara sanjog hai janaa’n
yeh kaisa joag hai janaa’n
baray boorhay batatay hain kaii qissay sunatay hain
magar hum jantay kab thay yeh sab kuch mantay kab thay
yeh batien zikar kay qabil bhala gardantay kab thay
anna kay takht par baithay humien maloom hii kab tha
anna kay takht say ooper bohet sari bulandii par
teray abroo kii junbish par teray sar kay isharay par
teray paaon kii payal mein ghanii zulfon kii chaaon mein
teray chotay say gaaon mein
sitaray , chand , sooraj walehana raqs kartay hain
kahien pariyon kay jurmat mein
humien maloom hii kab tha
tumharii yaad ka gehra samandar jaag uthta hai
qlam jab bhi uthaaon main
ghazal jab gungunaaon main
meray andar say ik aawaaz bus terii hii aatii hai
mera har shair teri yaad ka manzar sajata hai
qlam jab tujh ko likhta hai
to buss likhta hii chala jata hai
yahii likhta hai teray bin
koii lamha nahien guzra
guzarna bhi nahien shayed
humarii moat tak janaa’n

No comments:

Post a Comment