Thursday 4 September 2014

mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua

mujhay apnay zabt pay naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia hua
meri ankh kaisay chalak gai, mujhay gham ha yeh bura hua

meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua

mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
na kisi ki zarb ghulut parri, na kisi ka waar khata hua

mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoan se mita hua

mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua

mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm-e-khaloos hoon
na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa

ye jo sir jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa

mujhay ap kiyun na samajh sakay ye khud apnay dil se poochiye
meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula huwa

No comments:

Post a Comment