Thursday 4 September 2014

Shaher ki raat aur main naashaad-o-nakaraa phiru

Shaher ki raat aur main naashaad-o-nakaraa phiru
Jagmagaati jaagati sadakon pe avaara phiru 
Gair ki basti hai kab tak dar badar mara phiru 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu.
Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si 
Raat ke haathon mein din ki mohani tasveer si 
Mere seene par magar chalati hui shamasheer si 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vahashat-e-dil kyaa karu
Ye rupahali chhaaon ye aakaash par taaron ka jaal 
Jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka Khayaal 
Aah lekin kaun jaane kaun samajhe ji kaa haal 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Phir vo Toota ik sitara phir vo chuyi phuljhadi 
Jaane kis ki god mein aaye ye moti ki ladi 
Hounk si seene mein uthi chot si dil par padi 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Raat hans hans kar ye kehti hai ke maikhane mein chal 
Phir kisi shahnaaz-e-laalaarukh ke kaashaane mein chal 
ye nahin mumkin to phir ai dost viraane mein chal 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Har taraf bikhri hui rangeeniya ranaiya
Har qadam par isharaten leti hui angdaiyan 
Badh rahi hai god phailaaye hui rusavaiyan 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Raaste mein ruk ke dam le lun meri aadat nahi 
LauT kar vaapas chalaa jaau meri fitrat nahi 
Aur koi hamnava mil jaaye ye qismat nahin 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Muntazir hai ek tufaan-e-bala mere liye 
Ab bhi jaane kitne darvaaze hai vaha mere liye 
Par musibat hai mera ahed-e-vafa mere liye 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Ji mein aata hai ki ab ahed-e-vafa bhi tod du 
Un ko pa sakta hu main ye aasara bhi chod du 
Haan munasib hai ye zanjeer-e-hava bhi tod du 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Ek mahal ki aaa se nikala vo pila mahtaab 
Jaise mullah ka amamaa jaise baniye ki kitaab 
Jaise muflis ki javani jaise bevaa ka shabaab 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Dil me ek shola bhadak uthaa hai aakhir kya karu 
Meraa paimana chalak uthaa hai aakhir kya karu 
Zakhm seene ka mahek uthaa hai aakhir kya karu 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Muflisi aur ye mazahir hain nazar ke saamane 
Saikdon changez-o-naadir hain nazar ke saamane 
saikdon sultan jabar hain nazar ke saamane 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Le ke ek changez ke haathon se khanjar tod du 
Taaj par us ke damakata hai jo patthar tod du 
Koi tode ya na tode main hi badhkar tod duu 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Badh ke is indar-sabhaa kaa saaz-o-saamaan phunk du 
Is ka gulshan phunk du, us ka shabistan phuk du 
Takht-e-sultan kya, main saaraa qasr-e-sultan phunk du 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu
Ji mein aataa hai ye murdaa chaand-taare noch lu 
Is kinaare noch lun aur us kinaare noch lu
Ek do ka zikr kya, saare ke saare noch lu 
Ai Gam-e-dil kyaa karu, Ai vehshat-e-dil kyaa karu

No comments:

Post a Comment