Thursday 4 September 2014

Zindagi ke jitney darwazy hain

Zindagi ke jitney darwazy hain, mujh par band hain Dekhna 
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hy Sochna 


Apne aqeedo’N aur yaqeeno’N se nikal kar sochna bhi jurm hy 
“Kyun” bhi kehna jurm hy 


“kese” bhi kehna jurm hy 
Sans lene ke to aazadi muyassar hy……..magar 


Zianda rehny k liay insaan ko…….kuch “aur” bhi darkaar hy 
Aur…….is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hy 


Aey hunar mandaan-e-aaeen-o-sayasat 
Aey khuda vandaan-e-eewan-e-aqaid 


Zindagi ke naam par, bas ik inayat chahiay 
Mujh ko in sary jarayam ke ijazat chahiay

No comments:

Post a Comment