Friday 5 September 2014

Na Ghubaar meyN na gulaab meyN mujhe dekhnaa

Na Ghubaar meyN na gulaab meyN mujhe dekhnaa
mere dard kii aab-o-tab meyN mujhe dekhnaa

kisii waqt shaam malaal meyN mujhe sochnaa
kabhii apne dil kii kitaab meyN mujhe dekhnaa

kisii dhun meyN tum bhii jo bastiyoN ko tyaag do
isii rah-e-KhaanaaKharaab meyN mujhe dekhnaa

kisii raat maah-o-najuum se mujhe puuchhnaa
kabhii apanii chashm puraab meyN mujhe dekhnaa

isii dil se ho kar guzar gaey kaii kaarvaaN
kii hijartoN ke zaab meyN mujhe dekhnaa

mayN na mil sakuuN bhii to kyaa huaa ke fasaanaa huuN
naii daastaaN naye baab meyN mujhe dekhanaa

mere Khaar Khaar savaal meyN mujhe DhuuNDhnaa
mere giit meyN mere Khwaab meyN mujhe dekhnaa

mere aaNsuuoN ne bujhaaii thii merii tashnagii
isii barg_ziidaa sahaab meyN mujhe dekhnaa

wohii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa
mere roz-o-shab ke hisaab meyN mujhe dekhnaa

jo tarDap tujhe kisii aaiine meyN na mil sakey
to phir aaiiney ke jawaab meyN mujhe dekhanaa

No comments:

Post a Comment