Tuesday, 2 September 2014

Qalam Badast Houn Hairaan Houn Kay Kya Likhoon

Qalam Badast Houn Hairaa’n Houn Kay Kya Likhoon

Mein Teri Baat Ko Duniya Ka Tazkira Likhoon

Likhoo’n K Tuu Nay Mohabbat Kee Roshnee Likhee

Terey Sukhan Ko Sitaroo’n Ka Qaflaa Likhoon

Jahan Yazeed Bohut Hoo’n Hussain Akayla Ho

Tou Kuoo’n Na Apnee Zameen Ko Bhee Karbala Likhoon

Terey Baghair Har Naqsh “Naqsh-E-Faryadi”

Tuu Phool “Dast-E-Saba” Par Hay Ablaa Likhoon

Misaal “Dahst-E-Nung” Thi Wafa Unn Kee

Tou Kis Tarah Unhein Yaraan-E Ba-Safaa Likhoon

Jagah Jagah “Saleebain Merey Dareechey Main”

So Ism-E-Eesa O Mansoor Ja Baja Likhoon

Garifta E Dil Hein Bohut “Sham E Sheher E Yaraan” Aaj

Kahaan Hay Tou K Tujhey Haal E Dilbaraa Likhoon

Kahan Gaya Hey “Merey Dil Merey Musafir” Tou

Kay Mein Tujhey Rah O Manzil Ka Majraa Likhoon

Tou Mujh Ko Chor Gaya Likh K “Nuskha-E-Hayee Wafa”

Mein Kis Terah Tujhey Ay Dost Bay Wafa Likhoon

“Shaheed Jism Salamat Uthaye Jatey Hein”

Khuda Na Karda K Mein Tera Marsiyah Likhoon

No comments:

Post a Comment