Wednesday 3 September 2014

Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech

Qatal chuptay thay kabhi sang ki deewar k beech
Ab to khulny lagy maqtal bhary bazar k beech
Apni poshak ke chin janay pe afsoos na kar
Sar salamat nahin rehtay yahan dastaar k beech
Surkhian aman ki talqeen mein masroof raheen
Haroof barod ugaltay rahay akhbar k beech
Kash iss khuwab ki tabeer ki mohlat na milay
Sholay ugtay nazar aaye mujhy gulzar k beech
dhalty soraj ki tamazat nay bikhar kar dekha
sar kasheeda mera saya saf-e-ashjar k beech
Rizq, malbos, makaN, sans, marz, qarz, dawa
Munqisem ho gya insaN inhe afkar k beech
Dekhay jatay na thay aanso meray jis say Mohsin
Aj hanstay howay dekha usay aghyaar k beech

No comments:

Post a Comment