waqt chup chap dabay paon utar aata hay
sir k balon main bujhi dhoop ki rungut bun k
aur aisay main december ki koi surmaee sham
mayray ehsas pay jum jati hay hayrat bun k

kaheen nuzdeek say uth’ti hoi madhur si hansee
pas say jata hoa koi khilundra lumha
khol daita hay mayri umr-e-guzishta ki kitab
aur ik sath kaee varq palat jatay hain
yaad aa jatay hain wo khuwab say din
wo bharay din ki si ratain wohi mehtab say din
bheegi aankhon main ma’ani k samnadur perhna
jo kitabon main likha tha usay kum kum takna
chand chehron pay jo likha tha wo aksar purhna
roz ik taza qaseeda nai tashbeeb k sath
aik hi shakhs ki gul parahan-i per purhna
lufz perhna bhi to lehjoon k barabur perhna

upni yadoon k dafeenay ki talab main main nay
aaj khurchi hay badan say wo shub-o-roz ki gurd
to ye ehsas hoa hay mujh ko
main k shahkar hoon pathar say nikul aaya hoon
kitna lurka sa main andur say nikul aaya hon

No comments:
Post a Comment