Monday, 8 September 2014

samandar ke kinaray sahilon ki rait ke ander

samandar ke kinaray sahilon ki rait ke ander
hamaray kitne hi anmol khuwabon ke khazeenay hain
dafeenay hain, fasanay hain hawa chalti hai jab choo kar
hamaray dil ke zakhmon ko
kharabay rooh ke abaad ho jatay hain yadoon se
gaye waqtoon ki baton se
kahan ho tum? kahin bholay se aa niklo
agar aanay pe qadhan hai tu bus itna hi kar dalo
hawa ke daush pe be harf sargoshi
koi be lafz sandesa hi kar dalo
junon ke wastay itna hi kafi hai
hamain jeena tau hai aur umar baqi hai
wo awazain hi sun lain ge jo koi lab nahin kehtey
aur aisay khuwab bun lain ge, kabhi jo sach nahin hote
bus aisay hi bahanon main ye jeevan paar kar lain ge
tumharay naam kar dain ge !!

No comments:

Post a Comment