Monday 8 September 2014

tuhmatein to lagtein hein

tuhmatein to lagtein hein
roshini ki khwahish mein
gher se bahir aaney ki kuch saza to milti hai
log log hotey hein un ko kia khabr janan’


aap k iradon’ ki khobsorat aankhon mein
basney waley khwabon’ k rang kesey hotey hein
dil ki god aangan mein palney wali baton’ k
zakhm kesey hotey hein kitney gehrey hotey hein


kab yeh soch saktey hein esi be-gunah aankhein
gher k koney khudron’ mein chhup k kitna roti hein
phir bhi yeh kahani se apni kujj byani se
is qadar rawani se dastan’ sunatiin hein


or yaqeen ki aankhon se
sach k ghamzada dil se lag k roney lagti hein

No comments:

Post a Comment