Teray narm din say parey parey teri garam raat kay us taraf
Meri kainaat hunoot hai teri kainaat kay us taraf
Main to dhund aur dhooain main hoon, kisi tang o tareek ku’ain main hoon
Mujhay dekhnay nahin day raha koi haadsaat kay us taraf
Mujhay maut yeh keh kay chali gai tu bhatak raha hai yahan kahan
Tera muntazir hai koi safar, safar-e-hayat kay us taraf
Meri justujoo mera ruksh hai, mera karb-e-jaan mera rakht hai
Mujhay day jehat koi saatween had-e-shash jehat kay us taraf
Meray kufr ko na day raasta, meray paaon kaat meray khuda
Koi khainchta hai ghari ghari mujhay teri zaat kay us taraf
No comments:
Post a Comment