Yehi wuh aakhri had hey
jahaaN sey saath deney ki adaaeiN loT aati heiN
jahaaN sey Zindagi ki sab duaaeiN loT aati heiN
jahaaN par hosley detii naseehat kuch nahi hoti
jahaaN alfaaz meiN gundhii si nudrat kuch nahi hotii

Yehi wuh aakhri had hey!
K jis key paar chaley jaaney waaley aesey jaatey heiN
k jitney bhi aansoo bahaa leiN, GiRgiRaa leiN hum
palaT kar wuh nahi aatey
K jis key paar chaley jaaney waaley aesey jaatey heiN
k jitney bhi aansoo bahaa leiN, GiRgiRaa leiN hum
palaT kar wuh nahi aatey
Yehi wuh aakhri had hey
jahaaN par dost ka dast-e-anaayat chohRna hi hey
jahaaN par hum-rakaabi key iraadey be-ma’aanii heiN
jahaaN sey Zindagi ko ulTey qadmoN doRna hi hey
jahaaN har simt par bas mout ki hi hukmaraani hey

k jis ke paar jaaney waaley ko hum kitney hi pyaarey hoN
faqat ik baar palaT kar bhii sadaa dey nahi saktaa
faqat ik baar palaT kar bhii Duaa dey nahi saktaa

humaarey kapkapaatey lab, humaari bheegtii palkeiN
humaarey dast-e-larzeeda, humaari ashkbaar aankheiN
chalo inki zubaanoN ko milaa kar ik Duaa maangeiN!
Ye aakhri had ka musaafir hey merey Allah!
Tu apni khaas rehmat sey isey jannat -makaaN karnaa
Yehi wuh aakhri had hey
magar ashkoN ke saaey sey nikaltii huii duaaoN ki
koi sarhad nahi hotii !
chalo sab apney ashkon ko duaa meiN dhaal letey heiN !

No comments:
Post a Comment