Friday 5 September 2014

Teri qurbatain bhi saraab hen

Teri qurbatain bhi saraab hen, ye bhala hua jo mili nahi
Teri dooriyan bhi azaab hen meri dasht-e-jan se tali nahi

Kisi aag ne wo dhuaan dia, mujhay dekhnay bhi kahan dia
Wo musaafaton ka jahan dia kahin raasta hai kahin nahi

Mujhay zindagi wo diya lagay k abhi bujhay jo hawa lagay
kabhi kya lagay kabhi kya lagay kisi zaaviye pay yaqeen nahi

K shikasta-pa main rukoon kahan, hai ye faaslon ka naya jahan
hai agar zameen nahi aasmaan ,hai jo aasmaan to zameen nahi

Pas-e-chashm-e-nam wo zaroor hai, mera dil jafaaon se choor hai
Meri manzilon ka qasoor hai tere raaston se mili nahi

No comments:

Post a Comment