Wednesday, 3 September 2014

Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon main sada

Teri soorat jo bhari rehti hai aankhon main sada
ajnabi log bhi pehchane say lagtay hain mujhay
tere rishton main to dunya hi piro li main nay
Aik say ghar hain sabhi, aik say hain bashanday
ajnabi shehar main kuch ajnabi lagta hi nahin
aik say dard hain sab aik say hi rishtay hain
Umar kay khail main ek tarfa hai ye rassa kashi
Ik sira mujh ko dia hota to kuch baat bhi thi
Mujh say tagda bhi hai aur samnay aata bhi nahin
Samnay aaye mere daikha mujhay baaat bhi ki
Muskarye bhi puranay kisi rishtay kay liye
Kal ka akhbar tha bas daikh liya rakh bhi diya
Wo meray saath hi tha duur tak magar ik din
Mud ke jo daikha to wo aur mere saath na tha
Jaib phat jaye to kuch sikkay bhi gir jate hain
Chaudhwain chand ko phir aag lagi hai daikho
Phir buhat dair talak aaj ujala ho ga
Raakh ho jaye ga jab phir say amawas ho gi

No comments:

Post a Comment