Tuesday, 2 September 2014

tery hontoN k phooloN ke chahat mein hum

tery honto’N k phoolo’N ke chahat mein hum
daar kee khushk tehni pe…………vaary gaey


tery hatho’N kee shama kee hasrat mein hum
neem taareek raaho’N mein……..maary gaey


soolio’N par hamary labo’N se………….pary
tery honto’N ke laali………………lapakti rahi


teri zulfo’N ke masti………………barasti rahi
tery hatho’N ke chandi…………damakti rahi


jab ghuli teri raho’N mein sham-e-sitam
hum chaly aaey, laey jaha’N tak qadam


lab pe harf-e-ghazal, dil mein qindeel-e-gham
apna gham tha gavahi…….tery husn ke


dekh……qayam rahy iss gavahi pe hum
hum, jo tareek raho’N mein maary gaey


naa rasai agar apni………..taqdeer thi
teri ulfat to…………apni he tadbeer thi


kis ko shikwa hy?, gar shouq k silsily
hijr ke qatl gaho’N sy sb……….ja mily


qatl gaho’N sy chunn kr hamary alam
aur niklei’N gy………ushhaaq k qaafly


jin ke raah-e-talab se hamary qadam
mukhtasir kar chaly……dard k faasly


kar chaly jin ke khaatir, jaha’N geer hum
jaa’N ganvaa kar teri dilbari ka bharam


hum, jo tareek raaho’N mein maary gaey

No comments:

Post a Comment