Tuesday, 2 September 2014

Tujhe Khokar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun

Tujhe Khokar Bhi Tujhe Paaun Jahaan Tak Dekhun
Husn-E-Yazdaan Se Tujhe Husn-E-Butaan Tak Dekhun

Tune Yun Dekha Hai Jaise Kabhi Dekhi Hi Na Tha
Main To Dil Mein Tere Qadmon Ke Nishaan Tak Dekhun

Sirf Is Shauq Se Poochi Hain Hazaaron Baatein
Main Tera Husn, Tere Husn-E-Bayaan Tak Dekhun

Mere Veeraana-E-Jaan mein Teri Yaadon Ke Tufail
Phool Khilte Nazar Aate Hain Jahaan Tak Dekhun

Waqt Ne Zehen Mein Dhundhla Diye Tere Khad-O-Khaal
Yun To Main Toot’te Taaron Ka Dhuan Tak Dekhun

Dil Gaya Tha To Yeh Aankhein Bhi Koi Le Jaata
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhun

Ik Haqeeqat Sahi, Firdaus Mein Hooron Ka Wajood
Husn-E-Insaan Se Nibat Lun To Wahaan Tak Dekhun

No comments:

Post a Comment