Tujhe naaz hay kay mein haseen hun
meray gulistan ko zawal kia,
mujeh fakhar hay kay mein ishq
hun jo jalaa na doon to kamal kia,
mujhe zindagi ki dua na day
mujeh zindagi ki talab nahi,
meri maut ko jo taal day is
zindagi ki majaal kia,
hamain manzilon ki khabar nahi
hamain rahguzar ki talash hay,
is rahguzar per nikal paray
to urooj kia or zawal kia,
teray pyar mein shikway gilay
teri in adaon pay mar chalay,
jo hayat thi tujhe waar di,
ab jawab kia or sawal kia,
No comments:
Post a Comment