Us ke nazdeek gham-e-tark-e-vafa kuch bhi nahin
Mutmain aisa hai vo jesay hua kuch bhi nahin
Ab to haathon se lakeerain bhi miti jaati hain
Us ko kho ker to meray paas raha kuch bhi nahin
Kal bicharrna hai to phir ehd-e-vafa soch ke baandh
Abhi aaghaaz-e-muhabbat hai gaya kuch bhi nahin
Main to is vaastay chup hoon keh tamaasha na banay
Tu samajhta hai mujhay tujh se gila kuch bhi nahin
Chaar din reh gaye mailay mein magar ab ke bhi
Us nay aanay ke liye khat mein likha kuch bhi nahin
Aye Shumaar aankhain isi tarha bichaaye rakhna
Jaanay kis vaqt vo aa jaaye, pata kuch bhi nahin
No comments:
Post a Comment