Tuesday, 2 September 2014

tum ney mujh ko likha hai

Fariha Nigarina tum ney mujh ko likha hai
Mere khat jala dijiye Mujh ko fikr rehti hai


aap inhain ganwa dijiye

Aap ka koi saathi dekh ley to kiya hoga?

dekhiye mein kehti hun Yeh bohat bura hoga
Mein bhi kuch kahun tum se


Fariha Nigarina Ay Ba’nazuki meena
itr bey naseena rashk’e sar be seena


Mein tumharay har khat ko LOH’E DIl samajhta hun
LOH’e Dil Jala dun kia? Jo bhi satr hai in ki


Kehkasha’ hai rishton ki Kehkasha’n luta dun kia?
Hai sawaad’e beenai inka jo bhi nukta hai


Mein usay gunwa dun kia? jo bhi harf hai inka
naqsh’e jaa’n hai jaanana naqsh’e jaa’n mita dun kia??


LOh’e dil jala dun kia? kahkasha’n luta dun kia?
Naqsh’e jaa’n mita dun kia? Mujh ko likh k khat janum


apnay dehaan mein shayd khuwaab khuwaab jazbon k
khuwaab khuwaab lamhon mein


younhi bey khayalana jurm kar gai ho tum
aur khayal aany par US Se dar gai ho tum

JURM k tassawur mein gar yeh KHAT likhay TUM NEY
phir to meri raaiy mein JURM hi kiye tum ney


jurm! kiun kiye jayein? jurm! kiun kiye jayein?
khat hi kiun likhey jayein…!

No comments:

Post a Comment