Tum Jab Aao gi Tau Khoya Huwa Pao Gi Mujhe,
Meri Tanhai Mein Khawabon k Siwa Kuch Bhi Nahi,
Mere Kamre Ko Sajane Ki Tamana Hai Tumhen,
Mere Kamre Mein Kitabon k Siwa Kuch Bhi Nahi,
In Kitabon Ne Bara Zulam Kiya Hai Mujh Par,
In main Ik Ramz Hai, Jis Ramz Ka Mara Hua Zehan,
Muzda-e-Ishrat-e-Anjam Nahi Pa Sakta,
Zindagi Mein Kabhi Araam Nahi Pa Sakta,,,!!
No comments:
Post a Comment