Ta’aluq apni jagah tujh se barqaraar bhi hai
Magar yeh kia ke tere qurb se farar bhi hai
Kuraid or zameen, mausamon ke mutlaashi
Yahin kahin meri khoi hui bahar bhi hai
Yahi na ho teri manzil, zara theher aye dil
Wahi makan hai, diyon ki wohi qitar bhi hai
Yunhi to rooh nahin torti hisar-e-badan
Zaroor apna koi badalon ke paar bhi hai
Mein pathron se hi sir ko patakh ke lout aya
Chatan kehti rahi mujh mein shahkaar bhi hai
Yeh kia k rok k betha hua hun saail-e-hawas
Machan per bhi hun or samne shikar bhi hai
Chupa hua bhi hun jeene ki aarzu le ker
Panah gah meri sher ki khachar bhi hai
Adeem us se karon bhi to kis tarah ka salook
Hareef bhi hai wo apna, wo apna yaar bhi hai…!!!
No comments:
Post a Comment