Tuesday 2 September 2014

Kahin be kinaar se ratjagey

Kahin be kinaar se ratjagey..
kahin zernigar se khwab de
Tera kya usul hai zindagi ..?!?! 
Mujhey kaun isska hisaab de

Jo bichha sakun teray wastey…
jo saja sakein teray raastay

Meri dastaras mein sitarey rakhh …
Meri muththiyon ko gulaab de

Yeh jo khwahishon ka parind hai …
issey mosamon se gharz nahin

yeh urrey ga apni hi mauj mein …
issey aab de kay sarab de!

Tujhey chhu liya tou bharak uththey ..
meray jsim o jaan mein charagh se 

Issi aag mein mujhey raakh ker … 
issi sholagii main shabaab de

KAbhi yuun bhi ho teray ru baru ..
mein nazar mila ker yeh keh sakun

” meri hasraton ko shumar ker …
meri khwahishon ka hisaab de”

Teri ik nigah kay faiz se ..
meri kasht-e-harf chamak uththey

mera lafz lafz ho kehkashan …
mujhey aik aesi kitaab de 



No comments:

Post a Comment