Friday 5 September 2014

Tumhaari aankheiN kehti heiN hisaar-e-zaat sey niklo

Tumhaari aankheiN kehti heiN hisaar-e-zaat sey niklo
tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad sey niklo

kinaara thaam lo dil ka bhula do har gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do puarni yaad say niklo

Khayal-e-yaar acha hey magar jis nay wafa na ki
PalaT kar phir sada na do, dar-e-faryaad say niklo

Nahin koi muhabbat bhi, hijr rut bhi, raqaabat bhi
tou yeh dharka sa kya kahiye, weham ki ghaat say niklo

Sukhanwer hum say kehta hey saja lo aankh meiN kuch khaab
Dharaknaa dil ko sikhlaa do, amaawas raat say niklo

Nahin tum ko gawara ab humara qurb tou keh do
Hamaray karb ki chhoRo, tum is gardaab say niklo

Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmaandgi kuch bhi
Zamana daikh tham jaaye, kuch is andaaz say niklo

No comments:

Post a Comment