Friday 5 September 2014

udaas shamon ki siskion mai

udaas shamon ki siskion mai..
kabi jo meri awaz sun’na, 
to beetay lamhon ko yaad kar k, 
inhi fizaon mai lout aana..
tm aya karte thay khawab ban kar, 
kabi mehkta gulaab ban kar, 
mai khushak honton se jab pukaron, 
in adaon mai lout aana…
meri wafaon ka pas rakhna, 
meri duaon ka pas rakhna, 
mai khali hathon ko jab uthaon,
meri du’aon mai lout aana.. 
ho sakay to lout aana

No comments:

Post a Comment