Wohi izteraab-e firaq hai,
wohi ishtiyaaq-e-wisaal hai
Teri justuju meiN jo haal thaa,
tujhey paa ke bhi wohi haal hai
Na maal-e zeest ki fikr hai,
na tabaahiyoN ka khayaal hai
Mujhey sirf is ka malaal hai,
ke tumheiN bhi mera malaal hai
Teri aarzu hee ka faiz hai,
teri yaad hee ka kamaal hai
Kabhi mujh ko tera khayaal tha,
magar aaj apna khayaal hai
NahiN koi raahnuma to kya,
hai khilaaf saari faza to kya
Mujhey fikr sood-o-ziyaaN ho kyuN,
teri yaad shaamil-e-haal hai
Hai junoon-e-shouq ajab junoon,
na khalish khalish na sukoon sukoon
Kabhi khaar wajh-e-nishaat hai,
kabhi phool wajh-e malaal hai
Ho payam-e-azmat-e-jawedaaN,
gham-e ishq ho ke gham-e jahaaN
Jo zameer ko na jaga sakey,
woh malaal koi malaal hai?
Mera haal aaj zaboon hai kyuN,
mera dard aaj fazooN hai kyuN
Mere mehrabaaN mere chaaragar,
teri aabru ka sawaal hai
Tere gham ke naaz utha sakey,
tere gham meiN hasti mita sakey
Bajuz aik ‘Qabil’-e sakht jaaN,
yeh kahaaN kisi ki majaal hai
No comments:
Post a Comment