Friday 5 September 2014

Ya tu roug hain mah-0-sal kay yeh tu gardashain hain safar nahi

Kahin aarzoo-e-safar nahee Kahinmanziloon ki khaber nahi
Kahin rasta hi andher hay Kahin paa nahee khain per nahi
Mujhey izterab ki chah thi mujhey baykali ki talash thi
Inhee khawahishat kay jurm main koi gher nahee koi dar nahi
Koi chand tootey ya dil jaley ya zameen Kahin say ubal parey
Hum aseeray sauratey hal hain humain hadsat ka dar nahi
Ay haway-e-mausam-e-ghum zara mujhey sath rakh marey sath chal
Marey pass marey kadam nahee marey pass mari nazar nahi
Ya jo umer bher ki riaztain ya nagar nagar ki musafitain
Ya tu roug hain mah-0-sal kay yeh tu gardashain hain safar nahi

No comments:

Post a Comment