Thursday, 11 September 2014

Ye sachi baat bhe sun lo

Suno jana!
Ye sachi baat bhe sun lo,
Mere sochoN k aangan main tumhari yaad k jugno bouhat be-jan lagty haiN
Woh tum pe nazm ka likhan, tumhay ik bazm ka likhna
Woh apnay azm ka likhna,
Mujhay ab bore karty haiN..
Masail k kae Bachy mere sochoN k aangan main, bouhat he shoor karty hain
Tumhay taizee se jan-e-jan bhulata ja raha hooN main…
Kae barsooN se mere maaN ne jo ik khwaab daikha thaa
Mujhay woh khwaab lana hai.
Mere baba k kandhoN se hamary bhoojh ka thaila abhi girne he wala hai
Mujhay woh bhe uthana hai
main maaN ke khwaab ke khatir, nae ik job ke khatir
Subah ghar se nikalta hooN tu sara din pighalta hooN
Na tum rehti ho sochoN main, na tera aks rehta hai
yahaN per tu masail ka hameesha raqs rehta hai
jissay hum dhoop kehty haiN yahaN woh sakhs rehta hai
mujhay woh sakhs jaan-e-jaN bouhat he tang karta hai
main tum ko yaad karta hooN, woh mujh se jang karta hai
wahi ik sakhs jaan-e-jaN mujhay sone nahi daita
tumhary hussn ke yaadoN main ab khone nahi daita
mujhay maloom thaa jana kabhi aisa tu hona thaa
tumhay ik din tu khona thaa, mujhay phir khoob rona thaa
kabhi aisa tu hona tha…

No comments:

Post a Comment