Wednesday, 29 October 2014

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina

Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina

Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina

Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina

Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina

kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina

Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina

Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana

Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina

Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina

Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina

Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina

No comments:

Post a Comment