Sunday 12 October 2014

Ab aye meray ehsaas-e-junoon–kia mujhey daina

Ab aye meray ehsaas-e-junoon–kia mujhey daina?
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina
Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina
Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina
Tum mera badan orhh kay phirtay raho-lakin
Mumkin ho to ek din mera chehra mujhey daina
Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee
Jaatey huay ek zakhm to aisa mujhey daina
Ek dard ka mela hai–laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz ka rasta mujhey daina
Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina
Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina

No comments:

Post a Comment