Friday, 31 October 2014

abu talib ka gharaana

ali ali maula ali ali maula
quraan paraaya hai imaan bataaya hai
imraan ke gharaane ne islaam bachaaya hai

baraa mehbub gharaana abu talib ka gharaana
gulaam inka hai zamaana abu talib ka gharaana

kiya har kaam usi ki riza me raazi reh kar
khuda ke din ki khaatir hazaaro sadme seh kar
kare har dam shukraana abu talib ka gharaana

risaalat ho ke imaamat vilaayat ho ke tahaarat
shafaa'at ho ke sadaaqat sakhaawat ho ke shujaa'at
har ek azmat ka thikaana abu talib ka gharaana

kabhi mimbar pe parhke kabhi maidaan me larhke
kabhi neze pe charhke kabhi khutbe parh parhke
sikhaawe din bachaana abu talib ka gharaana

diye raahib ko bete kiya bezar ko buzar
diye hain fitrus ko par jagaaya hur ka muqaddar
ye hai sakhiyon ka gharaana abu talib ka gharaana

pukaara jab mushkil ne inhon ne ki lajpaali
sabhi mangton ke pal me bhari hai jholi khaali
jhuka jis dar pe zamaana abu talib ka gharaana

No comments:

Post a Comment