Friday 31 October 2014

aise hote hain ali ke naukar

aynullah uzunullah
noorullah wajhullah
ya ali ali ali

aise hote hain ali ke naukar 
dekh kar missam o salmaan ko kehti hai nazar
aise hote hain ali ke naukar 

vaqt par vaqt ki raftaar badal dete hain
fitrate khanjar o talwaar badal dete hain
daar par lehja e guftaar badal dete hain
zere khanjar bhi sadaa dete hain haidar haidar

tumne mola ki mohabbat ka nazaara dekha
lashkare kufr zyaada tha magar haar gaya
chand afraad ne lubnaan ka naksha badla
bhaagne vaale zara dekh to pitche murh kar

ishqe haidar ki ye tabligh kiya karte hain
aise diwaane hain daanaayi ataa karte hain
aql waale inhein behlool kaha karte hain
haa mitti se bana dete hain ye khuld ke ghar

qasre bay’at ke sutunon ko giraane ke liye
apnaa ghar qalbe payambar me banaane ke liye
jhutiyaan sibte payambar ki uthaane ke liye
hur ne haste huwe dunya ko lagaadi thokar

marke bhi ulfate haidar nahi marne deti
baat ye hazrate salmaan ne saabit kardi
baad marne ke agar inko boulaaenge ali
maut ki god se labbayk kahenge uth kar

No comments:

Post a Comment