Tuesday 14 October 2014

Aseer-e-dasht-e-bala ka na majra kehna

Aseer-e-dasht-e-bala ka na majra kehna
tamam poochnay walon ko bas dua kehna


ye kehna raat guzarti hai ab bhi ankhon main
tumhari yaad ka qaim hai silsila kehna


ye kehna chand utarta hai baam per ab bhi
magar nahin wo shab-e-mah ka maza kehna


ye kehna hum ne hi toofan main daal di kashti
kasoor apna hai darya ko kaya bura kehna


ye kehna haar na mani kabhi andheron se
bujhe chiragh to dil ka diya jala kehna


ye kehna tum se bichar kar bikhar gaya “tishna”
ke jaisay haath se gir jaye aaina kehna

No comments:

Post a Comment