Saturday 11 October 2014

Bicharney Wallon Ko Rok Laina

Mohabbatoun Key Saffar Mein Koii
Judaiyoun Ka Jo Lamha Aaye
To Chahtoun Key Safeer Logo
Bicharney Walloun Ko Rok Laina


Wo Laakh Tum Ko Naii Rutoun Key
Haseen Lamhien Bantien
Judaiyoun Key Siyaah Rastoun Sey
Wapsii Ka Sarab Baantien


To Un Kii Baatoun
Haseen Wadoun Ka Dam Na Bharna
Yaqeen Na Karna
K Wapsii Kii Taveel Musafatoun Sey Palat Key Aana


Bohet Kathin Hai
Koii Agar Lotna Bhi Chahey
To Beetay Lamhoun Kii Taiz Aandhii
Tamam Vadoun Kii Roshnii Cheen Kar


Andhairoun Ko Baant-Ti Hai
Kisi Ki Aankhoun Key Manzaroun Sey
Waffa Rangoun Key Khatam Honey Ka
Khouf Bhi Dil Ko Rokta Hai


Aur Is Trah Faasloun Mein Khoye Hoye

Kabhi Bhi Nahi Palat-Tey
Judaiyoun Key Raastoun Mein

Muntazir Log Apney Apney Diye Jalaye

Bas Eik Rastey Ko Dekhtey Hain
Naii Rutoun Key Haseen Lamhoun Key

Khwaab Aankhoun Mein Toot-Tey Hain
Bicharney Waley Judaii Key Rastoun Mein Baithey


Bikhartey Khwaboun Ki Kirchiyoun Ko Samait-Tey Hain
Bicharney Walo Agar Na Tum Ko Yaqeen Aaye

To Meri Aankhoun Mein Raiza Raiza
Bikhartey Khwaboun Ko Dekh Laina


Jinhien Chahon Samaitna Bhii To

Meray Bas Mein Wo Ab Nahi Hai
To Roshnii Key Safeer Logo

Bicharney Wallon Ko Rok Laina

No comments:

Post a Comment