Tuesday 14 October 2014

Gam-e-dauraaN ne bhii siikhe Gam-e-jaanaaN ke chalan

Gam-e-dauraN ne bhii siikhe Gam-e-jaanaN ke chalan
vahii sochii hu_ii chaale.n vahii besaaKhtaapan

vahii iqraar me.n inkaar ke laakho.n pahaluu
vahii ho.nTho.n pe tabassum vahii abaruu pe shikan

kis ko dekhaa hai ki pindaar-e-nazar ke baavasaf
ek lamhe ke liye ruk ga_ii dil kii dha.Dakan

kaun sii fasl me.n is baar mile hai.n tujh se
ham ko parvaah-e-girebaa.N hai.n na fikr-e-daaman

ab to chubhatii hai havaa barf ke maidaano.n kii
un dino.n jism ke ehasaas se jalataa thaa badan


aisi suuni to kabhii shaam-e-GariibaaN bhi na thii
dil bujhe jaate hai.n ai tiiragii-e-subah-e-vatan

No comments:

Post a Comment